na jaane aag kaisi aainon mein so rahi thi
dhuan bhi uTh raha tha raushni bhi ho rahi thi
lahu meri nason mein bhi kabhi ka jam chuka tha
badan par barf ko oDhe nadi bhi so rahi thi
chamakte bartanon mein KHun gara ho raha tha
meri aaankhon mein baiThi koi KHwahish ro rahi thi
hamari dosti mein bhi daraDen paD rahi thin
ujale mein numayan tirgi bhi ho rahi thi
dabaw paniyon ka ek jaanib baDh raha tha
na jaane sahilon par kaun kapDe dho rahi thi
kisi ke lams ka ehsas paiham ho raha tha
ki jaise phul par masum titli so rahi thi
Ghazal
Na jaane aag kaisi aainon mein so rahi thi
Tauqeer Abbas