اردو हिंदी
Na jaan-bazon ka majma tha na mushtaqon ka mela tha | Shaahi Shayari
na jaan-bazon ka majma tha na mushtaqon ka mela tha

Ghazal

Na jaan-bazon ka majma tha na mushtaqon ka mela tha

Shad Azimabadi

;

na jaan-bazon ka majma tha na mushtaqon ka mela tha
KHuda jaane kahan marta tha main jab tu akela tha

gharaunda yun khaDa to kar liya hai aarzuon ka
tamasha hai jo wo kah den ki main ek khel khela tha

bahut saste chhuTe ai maut bazar-e-mohabbat mein
ye sauda wo hai jis mein kya kahen kya kya jhamela tha

agar taqdir mein hota to ek din par bhi lagta
ye dariya jhelne ko yun to ai dil KHub jhela tha

hamesha hasrat-e-didar pe dil ne qanaat ki
baDe dar ka mujawir tha baDe murshid ka chela tha

kahan dil aur fusun-e-ishq ki ghaten kahan ya rab
na paDta tha balaon mein abhi kam-baKHt anila tha

jahan chahe lage jis dil ko chahe chur kar Dale
zaban se phenk mara baat thi naseh ki Dhela tha

tamasha-gah-e-duniya mein bataun kya ummidon ki
tan-e-tanha tha main ai 'shad' aur relon pe rela tha