na jadu hun na Tona ho gaya hun
mujhe hona tha hona ho gaya hun
unhen paras na kah dun to kahun kya
jinhen chhu kar main sona ho gaya hun
baDha hai jab se qad KHwahish ka meri
laga hai aur bauna ho gaya hun
wo mere dil se aksar khelte hain
zahe-qismat khilauna ho gaya hun
wo chal chal kar tamanna raundte hain
main bichh bichh kar bichhauna ho gaya hun
kabhi kata gaya haalat ke dhar
kabhi main adhbilauna ho gaya hun
meri ghazlen hi to sathi hain 'sajid'
wagarna ek kona ho gaya hun

Ghazal
Na jadu hun na Tona ho gaya hun
Sajid Hashmi