na is tarah koi aaya hai aur na aata hai
magar wo hai ki musalsal diye jalata hai
kabhi safar kabhi raKHt-e-safar ganwata hai
phir is ke baad koi rasta banata hai
ye log ishq mein sachche nahin hain warna hijr
na ibtida na kahin intiha mein aata hai
ye kaun hai jo dikhai nahin diya ab tak
aur ek umr se apni taraf bulata hai
wo kaun tha main jise raste mein chhoD aaya
ye kaun hai jo mere sath sath aata hai
wahi tasalsul-e-auqat toD dega ki jo
dar-e-ufuq pe shab-o-roz ko milata hai
jo aasman se raaten utarta hai 'salim'
wahi zamin se kabhi aaftab uThata hai
Ghazal
Na is tarah koi aaya hai aur na aata hai
Saleem Kausar