na hua nasib qarar-e-jaan hawas-e-qarar bhi ab nahin
tera intizar bahut kiya tera intizar bhi ab nahin
tujhe kya KHabar mah-o-sal ne hamein kaise zaKHm diye yahan
teri yaadgar thi ek KHalish teri yaadgar bhi ab nahin
na gile rahe na guman rahe na guzarishen hain na guftugu
wo nishat-e-wada-e-wasl kya hamein eatibar bhi ab nahin
rahe nam-e-rishta-e-raftgan na shikayaten hain na shoKHiyan
koi uzr-KHwah to ab kahan koi uzr-dar bhi ab nahin
kise nazr den dil-o-jaan baham ki nahin wo kakul-e-KHam-ba-KHam
kise har-nafas ka hisab den ki shamim-e-yar bhi ab nahin
wo hujum-e-dil-zadgan ki tha tujhe muzhda ho ki bikhar gaya
tere aastane ki KHair ho sar-e-rah-e-ghubar bhi ab nahin
wo jo apni jaan se guzar gae unhen kya KHabar hai ki shahr mein
kisi jaan-nisar ka zikr kya koi sogwar bhi ab nahin
nahin ab to ahl-e-junun mein bhi wo jo shauq-e-shahr mein aam tha
wo jo rang tha kabhi ku-ba-ku sar-e-ku-e-yar bhi ab nahin
Ghazal
Na hua nasib qarar-e-jaan hawas-e-qarar bhi ab nahin
Jaun Eliya