اردو हिंदी
Na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega | Shaahi Shayari
na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega

Ghazal

Na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega

Anwar Sabri

;

na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega
bahaaron se hi taKHrib-e-bahaaran kaun dekhega

sar-e-mahshar jafaon ki shikayat bar-mahal lekin
phir in masum nazron ko pashiman kaun dekhega

baja hai lala o gul ki tabahi ka tasawwur bhi
magar ye manzar-e-mahshar-ba-daman kaun dekhega

mujhe taslim hai qaid-e-qafas se maut behtar hai
nasheman par hujum-e-barq-o-baran kaun dekhega

hasin tabir-e-mustaqbil sahi is ki magar 'anwar'
nae fitnon ka ab KHwab-e-pareshan kaun dekhega