na ho tu jis mein wo dil bhi hai kya dil
nikamma dil bura dil bad-numa dil
buton ko de diya nam-e-KHuda dil
'saKHa' meri bhi kya himmat hai kya dil
uThe aaghosh se jab dard uTTha
hile pahlu se jab wo hil gaya dil
abhi kamsin hain ruswai ka Dar hai
nahin lete kisi badnam ka dil
sungha kar nikhat-e-zulf-e-muambar
uDa kar le gai baad-e-saba dil
phire mujh se to goya phir gaya baKHt
baDhe meri taraf to baDh gaya dil
wahi kawish wahi sozish wahi dard
tera paikan hai goya mera dil
hamein bhi ranj-o-rahat ki KHabar thi
hamare pas bhi tifli se tha dil
mere mahbub ke mahbub ho tum
fida hun dil pe main tum par fida dil
sambhal hi jaega insan hai yarab
pighal hi jaega patthar hai ya dil
'saKHa' jo mujh pe guzregi sahunga
mere sine mein hai itna baDa dil
Ghazal
Na ho tu jis mein wo dil bhi hai kya dil
Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi