اردو हिंदी
Na ho Thikana koi jis ka tere ghar ke siwa | Shaahi Shayari
na ho Thikana koi jis ka tere ghar ke siwa

Ghazal

Na ho Thikana koi jis ka tere ghar ke siwa

Mahmood Sarosh

;

na ho Thikana koi jis ka tere ghar ke siwa
wo uTh ke jae kahan teri rahguzar ke siwa

dil-e-hazin ki tamanna nigah ke matlub
KHuda rakhe wo sabhi kuchh hain chaaragar ke siwa

raza-e-dost tab-o-tab sina-e-dushman
dua ko aur bhi kuchh chahiye asar ke siwa

wo soz-e-dil ki jise log jaan kahte hain
nahin hai aur koi shai teri nazar ke siwa

payam-e-KHanda-e-gul aur nashat-e-subh-e-chaman
saba ke pas hai sab kuchh teri KHabar ke siwa

hai jaan-e-bulbul-e-shaida to chaar tinkon mein
qafas mein kuchh bhi nahin ek musht-e-par ke siwa

mila hai azmat-e-adam ke nam se jo mujhe
wo qarz kis se ada hoga mere sar ke siwa

unhi ko nala-e-bulbul kahen ki KHanda-e-gul
chaman mein kuchh bhi nahin shoala-e-sharar ke siwa

sukun-e-dil ke liye hum kahan kahan na gae
'sarosh' kuchh na mila zahmat-e-safar ke siwa