na ho jis pe bharosa us se hum yari nahin rakhte
hum apne aashiyan ke pas chingari nahin rakhte
faqat nam-e-mohabbat par hukumat kar nahin sakte
jo dushman se kabhi laDne ki tayyari nahin rakhte
KHaridaron mein rah kar zindagi wo bik bhi jate hain
tere bazar mein jo log hushyari nahin rakhte
banao ghar na miTTi ke lab-e-sahil ai nadanon
samundar to kinaron se wafadari nahin rakhte
ana ko saKHti-e-haalat aksar toD deti hai
isi Dar se kabhi fitrat mein KHuddari nahin rakhte
dar-o-diwar se un ke bhala kya aaegi KHushbu
jo ghar ke sahn mein phulon ki ek kyari nahin rakhte
faqat lafzon se hum 'dana' hunar ki dad lete hain
qalam wale kabhi shauq-e-adakari nahin rakhte
Ghazal
Na ho jis pe bharosa us se hum yari nahin rakhte
Abbas Dana