اردو हिंदी
Na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai | Shaahi Shayari
na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai

Ghazal

Na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai

Abid Kazmi

;

na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai
jo be-niyaz ho sajdon se zindagi kya hai

sada-bahaar chaman mein bhi gar nasheman ho
tere baghair jo guzre wo zindagi kya hai

KHuda ko man ke KHud ko KHuda samajhta hai
ana-parasti sarasar hai bandagi kya hai

bas hum kamal samajhte hai jite rahne ko
ye karbala ne bataya ki zindagi kya hai

wo jo faqir sifat KHud ko kahta phirta hai
qaba harir ki pahne hai sadgi kya hai