na hi zindagani kamal hai na hi maut mera zawal hai
ki jawab jis ka na mil saka mere zehn mein wo sawal hai
jise hum samajhte hain marg hai wo to ek taghayyur-e-haal hai
jiye jis ke hijr mein umr-bhar wo hi ek lamha visal hai
faqat ek sarab hai zindagi ki hasin sa KHwab hai zindagi
mere KHwab aankhon se chhin gae to ye zindagi bhi muhaal hai
hai azal se yun hi tu jun ka tun mujhe rafta rafta guzar kar
ye hi silsila shab-o-roz ka ye jo gardish-e-mah-o-sal hai
jo ho band aankh to kya KHabar hamein saf aane lage nazar
jise hum samajhte hain zindagi faqat ek KHwab-o-KHayal hai

Ghazal
Na hi zindagani kamal hai na hi maut mera zawal hai
Haqeer Jahani