na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega
hamare panw ka kanTa hamin se niklega
main jaanta tha ki zahrila sanp ban ban kar
tera KHulus meri aastin se niklega
isi gali mein wo bhuka faqir rahta tha
talash kije KHazana yahin se niklega
buzurg kahte the ek waqt aaega jis din
jahan pe Dubega suraj wahin se niklega
guzishta sal ke zaKHmo hare-bhare rahna
julus ab ke baras bhi yahin se niklega
Ghazal
Na ham-safar na kisi ham-nashin se niklega
Rahat Indori