na ham-safar hai na ham-nawa hai
safar bhi is bar dur ka hai
main dekh kar jis ko Dar raha tha
wo saya mujh se lipaT gaya hai
tamam rangon se bhar ke mujh ko
wo shaKHs taswir ho gaya hai
nadi bhi rasta badal rahi hai
pahaD ka qad bhi ghaT raha hai
tumhin ne tarikiyan buni thin
tumhin ko ye jal kaTna hai
chalo ki dariya nikalte hain
uTho ki sahra pukarta hai

Ghazal
Na ham-safar hai na ham-nawa hai
Vikas Sharma Raaz