na hum ne aankh laDai na KHwab mein dekha
magar tumhein dil-e-KHana-KHarab mein dekha
taDap taDap ke tere aastan pe le aaya
baDa asar dil-e-pur-iztirab mein dekha
kabhi nigah-e-karam hai kabhi itab ki lahar
ajib lutf tere pech-o-tab mein dekha
baDe KHulus ki baaton ke baad shart-e-wafa
tera ghurur bhi KHat ke jawab mein dekha
nazar milate hi gham ho gae hawas 'nazar'
KHumar aankh se chhalki sharab mein dekha
Ghazal
Na humne aankh laDai na KHwab mein dekha
Nazar Barni