na hum ko yaad karo aur na yaad aao hamein
ajib hukm hai kahte hain bhul jao hamein
tumhaare chehre to kuchh raushni mein aa jao
jo ho sake to zara der tak jalao hamein
hamein aziz ho kitne ye jaanne ke liye
hamari jaan bhi hazir hai aazmao hamein
khulenge kitne hi asrar-e-lafz lafz magar
kabhi to tum bhi akele mein gungunao hamein
zaruraton ke sabab hum bhi bik gae 'mahwar'
nazar se apni gire hain zara uThao hamein
Ghazal
Na hum ko yaad karo aur na yaad aao hamein
Mehwar Noori