na hasil hua sabr-o-aram dil ka
na nikla kabhi tum se kuchh kaam dil ka
mohabbat ka nashsha rahe kyun na har-dam
bhara hai mai-e-ishq se jam dil ka
phansaya to aankhon ne dam-e-bala mein
magar ishq mein ho gaya nam dil ka
hua KHwab ruswa ye ishq-e-butan mein
KHuda hi hai ab mere badnam dil ka
ye banki adaen ye tirchhi nigahen
yahi le gain sabr-o-aram dil ka
dhuan pahle uThta tha aaghaz tha wo
hua KHak ab ye hai anjam dil ka
jab aaghaz-e-ulfat hi mein jal raha hai
to kya KHak batlaun anjam dil ka
KHuda ke liye pher do mujh ko sahab
jo sarkar mein kuchh na ho kaam dil ka
pas-e-marg un par khula haal-e-ulfat
gai le ke ruh apni paigham dil ka
taDapta hua yun na paya hamesha
kahun kya main aaghaz-o-anjam dil ka
dil us be-wafa ko jo dete ho 'akbar'
to kuchh soch lo pahle anjam dil ka
Ghazal
Na hasil hua sabr-o-aram dil ka
Akbar Allahabadi

