na haara hai ishq aur na duniya thaki hai
diya jal raha hai hawa chal rahi hai
sukun hi sukun hai KHushi hi KHushi hai
tera gham salamat mujhe kya kami hai
charaghon ke badle makan jal rahe hain
naya hai zamana nai raushni hai
are o jafaon pe chup rahne walo
KHamoshi jafaon ki taid bhi hai
mere rahbar mujh ko gumrah na kar de
suna hai ki manzil qarib aa gai hai
'KHumar'-e-bala-nosh ki tu aur tauba
tujhe zahidon ki nazar lag gai hai
Ghazal
Na haara hai ishq aur na duniya thaki hai
Khumar Barabankavi