اردو हिंदी
Na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab | Shaahi Shayari
na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab

Ghazal

Na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab

Mah Laqa Chanda

;

na gul se hai gharaz tere na hai gulzar se matlab
rakha chashm-e-nazar shabnam mein apne yar se matlab

ye dil dam-e-nigah mein tark ke bas ja hi aTka hai
bar aawe kis tarah allah ab KHun-KHwar se matlab

ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tawaqqo kuchh
magar duniya ke logon mein mujhe hai pyar se matlab

na samjha hum ko tu ne yar aisi jaan-fishani par
bhala pawenge ai nadan kisi hushyar se matlab

na 'chanda' ko tama jannat ki ne KHauf-e-jahannam hai
rahe hai do-jahan mein haidar-e-karrar se matlab