na gul-e-naghma hun na parda-e-saz
main hun apni shikast ki aawaz
tu aur aaraish-e-KHam-e-kakul
main aur andesha-ha-e-dur-daraaz
laf-e-tamkin fareb-e-sada-dili
hum hain aur raaz-ha-e-sina-gudaz
hun giraftar-e-ulfat-e-sayyaad
warna baqi hai taqat-e-parwaz
wo bhi din ho ki us sitamgar se
naz khinchun bajae hasrat-e-naz
nahin dil mein mere wo qatra-e-KHun
jis se mizhgan hui na ho gul-baz
ai tera ghamza yak-qalam-angez
ai tera zulm sar-ba-sar andaz
tu hua jalwagar mubarak ho
rezish-e-sajda-e-jabin-e-niyaz
mujh ko puchha to kuchh ghazab na hua
main gharib aur tu gharib-nawaz
'asad'-ullah KHan tamam hua
ai darigha wo rind-e-shahid-baz
Ghazal
Na gul-e-naghma hun na parda-e-saz
Mirza Ghalib