اردو हिंदी
Na ghum dasht mein tu sehn-e-gulistan se guzar | Shaahi Shayari
na ghum dasht mein tu sehn-e-gulistan se guzar

Ghazal

Na ghum dasht mein tu sehn-e-gulistan se guzar

kanval Dibaivi

;

na ghum dasht mein tu sehn-e-gulsitan se guzar
jo chahta hai bulandi to kahkashan se guzar

zamin ko chhoD ke nadan na aasman se guzar
zarurat is ki hai to un ke aastan se guzar

isi se teri ibaadat pe rang aaega
jabin jhukana hua un ke aastan se guzar

hai asliyat hai KHizan hi bahaar ki tamhid
bahaar chahe to andesha-e-KHizan se guzar

wafa ki rah mein dar o salib aate hain
zarurat is ki hai har ek imtihan se guzar

'kanwal' KHushi ki hua karti hai yunhi takmil
gham-e-hayat ke har bahr-e-be-karan se guzar