اردو हिंदी
Na garmi rakhe koi us se KHudaya | Shaahi Shayari
na garmi rakhe koi us se KHudaya

Ghazal

Na garmi rakhe koi us se KHudaya

Jurat Qalandar Bakhsh

;

na garmi rakhe koi us se KHudaya
shararat se ji jis ne mera jalaya

na bechain ho koi ab us ki KHatir
mera chahna jo na KHatir mein laya

baham dekh do shaKHs ho wo bhi muztar
akela main jis ke liye tilmilaya

phire justuju mein na ab koi us ki
mujhe jis ne galiyon mein barson phiraya

na bhule se yaad ab kare koi us ko
mera yaad karna bhi jis ne bhulaya

na KHush ho ab us pas baiThe se koi
hamein kar ke aazurda jis ne uThaya

KHaridar paida na ho koi us ka
ki dil bech kar hum ne dukh jis se paya

tahayyur ho dekh aaina us ko jis ne
hamein kar ke hairan na mukhDa dikhaya

lage lag us se kisi ki na ya-rab
hamari lagi ko na jis ne bujhaya

kahun dastan main gar apni aur us ki
to hairan ho sun ke apna paraya

ki pahle ki izhaar KHud us ne ulfat
na aaya to sau bar ghar se bulaya

jatain wo baaten jinhen sehr kahiye
dikhaya wo aalam ki wahshi banaya

rakhi be-takalluf mulaqat chande
ba-mannat mujhe pas pahron biThaya

kisi ka na ek harf KHatir mein guzra
use garche logon ne kya kya paDhaya

so ab wo jhalak tak dikhata nahin hai
gaya main jo ghar se to dar tak na aaya

lagawaT ye kuchh kar ke phir kya ghazab hai
mera lag gaya dil to parda lagaya

ba-taghir-e-bahr aur 'jurat' ghazal kah
ki ye turfa mazmun tu ne sunaya