na ghair hi mujhe samjho na dost hi samjho
mere liye ye bahut hai ki aadmi samjho
main rah raha hun zamane mein sae ki surat
jahan bhi jao mujhe apne sath hi samjho
har ek baat zaban se kahi nahin jati
jo chupke baiThe hain kuchh un ki baat bhi samjho
guzar to sakti hain raaten jala jala ke charagh
magar ye kya ki andhere ko raushni samjho
wo sher kahne lage ho tum ab to ai 'mahshar'
na koi aur hi samjhe na aap hi samjho
Ghazal
Na ghair hi mujhe samjho na dost hi samjho
Mahshar Inayati