na faisla tumhaara hai na faisla hamara hai
ye waqt ke qazzaq ne chhupa ke tir mara hai
faqih-e-shahr zindagi ki aankh ka jo nur tha
wo main ne tere aastan pe KHwab la ke wara hai
sitar-gan ki bazm mein udas chand dekhna
na-jaane kaisa KHwab hai na-jaane kya ishaara hai
hamein ye KHwab titliyan talashna hain umr-bhar
ki hath KHali nikle hain charagh hai na tara hai
pas-e-ghubar waqt yun pukarta hai kaun ye
ki hijr-o-gham ka silsila batao kyun gawara hai
'sajjad' bhi malul hai ki qafila hai sham ka
falak pe ek chand hai jo aaKHiri sahaara hai
Ghazal
Na faisla tumhaara hai na faisla hamara hai
Ahmad Sajjad Babar