na faslon mein KHalish na rahat hai qurbaton mein
main ji raha hun ajib be-rang saaton mein
tujhe gharaz kya koi bhi mauzu-e-guftugu ho
har ek haqiqat badal chuki jab hikayaton mein
meri wafa ke safar ki takmil ho to kaise
hai tera mehwar teri adhuri mohabbaton mein
koi to mere wajud ki sarhaden batae
bhaTak raha hun main kab se apni hi wusaton mein
wo ek saya tha umr bhar ki thakan ka hamil
wo ek saya jo kho gaya hai masafaton mein
main zaKHm kha ke bhi bad-guman ho saka na 'rashid'
ajib rang-e-KHulus tha us ki nafraton mein

Ghazal
Na faslon mein KHalish na rahat hai qurbaton mein
Mumtaz Rashid