na fasle koi rakhna na qurbaten rakhna
bas ab ba-qadr-e-ghazal us se nisbaten rakhna
ye kis talluq-e-KHatir ka de raha hai suragh
kabhi kabhi tera mujh se shikayaten rakhna
main apne sach ko chhupaun to ruh shor machae
azab ho gaya mera samaaten rakhna
faza-e-shahr mein ab ke baDi kudurat hai
bahut sambhaal ke apni mohabbaten rakhna
hum ahl-e-fan ko bhi gum-namiyan thin ras bahut
hua hai bais-e-ruswai shohraten rakhna
qasida-KHwani karo aur mauj uDao ki 'shauq'
tamam kar-e-ziyan hai sadaqaten rakhna
Ghazal
Na fasle koi rakhna na qurbaten rakhna
Razi Akhtar Shauq

