اردو हिंदी
Na dosti se rahe aur na dushmani se rahe | Shaahi Shayari
na dosti se rahe aur na dushmani se rahe

Ghazal

Na dosti se rahe aur na dushmani se rahe

Sahar Ansari

;

na dosti se rahe aur na dushmani se rahe
hamein tamam gile apni aagahi se rahe

wo pas aae to mauzu-e-guftugu na mile
wo lauT jae to har guftugu usi se rahe

hum apni rah chale log apni rah chale
yahi sabab hai ki hum sargiran sabhi se rahe

wo gardishen hain ki chhuT jaen KHud hi baat se hat
ye zindagi ho to kya rabt-e-jaan kisi se rahe

kabhi mila wo sar-e-rahguzar to milte hi
nazar churane laga hum bhi ajnabi se rahe

gudaz-qalb kahe koi ya ki harjai
KHulus o dard ke rishte yahan sabhi se rahe