اردو हिंदी
Na diya us kun ya diya qasid | Shaahi Shayari
na diya us kun ya diya qasid

Ghazal

Na diya us kun ya diya qasid

Meer Mohammadi Bedar

;

na diya us kun ya diya qasid
sach bata nama kya kiya qasid

na phira aah koi le ke jawab
jo gaya wan so gum hua qasid

aaj aawega ya na aawega
mere ghar mein wo dil-ruba qasid

dil ko hai saKHt intizar-e-jawab
kah shitabi se kya kaha qasid

kucha-e-yar mein mere zinhaar
jaiyo mat barhana-pa qasid

KHar-e-mizhgan-e-kushtagan-e-wafa
wan hain uftada ja-ba-ja qasid

nama-e-shauq ko mere le kar
yar ke pas jab gaya qasid

mohr ko KHat ki dekh kahne laga
kaun 'bedar' hai bata qasid

jis ne bheja hai tere hath ye KHat
main nahin us se aashna qasid