na din hi chain se guzra na koi raat meri
wo sabz bagh dikhati rahi hayat meri
mere wajud ko rahne de sang ki surat
kisi nazar mein to aaina hogi zat meri
tujhe bhi dil mein faraghat se main samo na sakun
kuchh aisi tang nahin hai ye kaenat meri
karun to kaun sa unwan ata karun us ko
baTi hui hai kai qiston mein hayat meri
meri shikast-e-ana toD degi KHud mujh ko
saja ke log nikalenge jab baraat meri
sameTta hun main nakaamiyon ko jab 'shaiq'
mera mazaq uDati hain KHwahishat meri
Ghazal
Na din hi chain se guzra na koi raat meri
Shaiq Muzaffarpuri