na dil mein gham na honTon par hansi hai
KHudawanda ye kaisi zindagi hai
tere wade pe jite hain jiyenge
magar ye pairahan bhi kaghzi hai
udhar wo chand ki dhun mein magan hain
udhar apni ye be-baal-o-pari hai
chamakti bijliyan hi bijliyan hain
chaman mein raushni hi raushni hai
basa-auqat ye hota hai mahsus
ki nabz-e-zindagi ruk si gai hai
Ghazal
Na dil mein gham na honTon par hansi hai
Ain Salam

