na dhup dhup rahe aur na saya saya to
junun-e-shauq agar phir wahin pe laya to
qadam baDha to lun aabaadiyon ki samt magar
mujhe wo DhunDhta tanhaiyon mein aaya to
suluk KHud se harifana kaun chahega
agarche tu ne mujhe zindagi nibhaya to
main jis ki oT mein mausam ki mar sahta hun
kahin khanDar bhi wo barish ne ab ke Dhaya to
magar gai na mahak mujh se mere mazi ki
nadi ki dhaar mein sau bar main nahaya to
sharif log the aadi the band kamron ke
laraz uThe kisi ne qahqaha lagaya to
hai rasm-o-rah ki surat abhi ghanimat hai
nadi ne dekh mujhe hath phir hilaya to
Ghazal
Na dhup dhup rahe aur na saya saya to
Akhilesh Tiwari