na Dhalti sham na ThanDi sahar mein rakkha hai
safar ka lutf kaDi dopahar mein rakkha hai
judaiyon ke manazir hain ab bhi yaadon mein
bichhaDte waqt ka lamha nazar mein rakkha hai
bacha bacha ke ghani chhanw ko teri KHatir
tamam umr badan ke shajar mein rakkha hai
tumhaare nam ko likkha hai paikar-e-gul par
tumhaari yaad ko KHushbu ke ghar mein rakkha hai
kabhi sukun se jine nahin diya us ne
wo ek ishq ka sauda jo sar mein rakkha hai
phir ek bar luTana hai karwan dil ka
qadam ko phir se teri rahguzar mein rakkha hai
'KHumar' kis ne kiya phir se dar-ba-dar mujh ko
ye kis ne mujh ko musalsal safar mein rakkha hai
Ghazal
Na Dhalti sham na ThanDi sahar mein rakkha hai
Suleman Khumar

