na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga
taqaza lakh tu kar ai dil-e-shaida na dekhunga
karun naseh main kyunkar hae ye wada na dekhunga
nazar paD jaegi KHud hi jo danista na dekhunga
nigah-e-naz ko teri main sharminda na dekhunga
haTae leta hun apni nazar achchha na dekhunga
wo kahte hain na samjhunga tujhe 'majzub' main aashiq
ki jab tak kucha o bazar mein ruswa na dekhunga
bala se main agar ro ro ke binai bhi kho baiThun
karunga kya in aankhon ko jo wo jalwa na dekhunga
bala se mere dil par meri jaan kuchh hi guzar jae
main teri KHatir-e-nazuk ko aazurda na dekhunga
uThaunga na zanu se main hargiz apna sar hamdam
are main apni aankhon se unhen jata na dekhunga
hasinon se wahi phir hazrat-e-dil dida-bazi hai
abhi to kar rahe the aap ye dawa na dekhunga
zara ai naseh-e-farzana chal kar sun to do baaten
na hoga phir bhi tu 'majzub' ka diwana dekhunga
Ghazal
Na dekhunga hasinon ko are tauba na dekhunga
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub