na dekha jama-e-KHud-raftagi utar ke bhi
chali gain teri yaaden mujhe pukar ke bhi
ye zindagi hai use talKH tursh hona hai
saubaton ke zara dekh din guzar ke bhi
habab-e-zist na dast-e-qaza se TuT saka
hayat baqi rahi qabr mein utar ke bhi
tere ghurur ke hai ru-ba-ru ye KHush-shikani
jhuka ke sar na hue pesh shahryar ke bhi
badi na roken pe nafrat to kar hi lete hain
muzahire hain ye kuchh apne iKHtiyar ke bhi
kabhi gale bhi milo aa ke shaKH-e-gul ki tarah
ada to kar diye haq hum ne intizar ke bhi
qubul o rad ke sabhi iKHtiyar us ke the
magar main KHush tha tamanna ko us pe war ke bhi
bahaar ho to lahu mein utarti hai 'shahid'
hamein to chhu ke na guzre ye din bahaar ke bhi
Ghazal
Na dekha jama-e-KHud-raftagi utar ke bhi
Siddiq Shahid