na Dare barq se dil ki hai kaDi meri aankh
us ki zanjir-e-talai se laDi meri aankh
apne bimar ko rakhti hai chhupa kar tah-e-KHak
kahte hain sahab-e-ghairat hai baDi meri aankh
KHak mein mil ke ayan hun gul-e-nargis ban kar
dekh le gar teri phulon ki chhaDi meri aankh
is tarah zabh kiya tegh-e-nigah se mujh ko
KHud wo kahte hain ki zalim hai baDi meri aankh
dil mein hai kuchh asar-e-josh-e-mohabbat ab tak
tar hui dekh ke sawan ki jhaDi meri aankh
hasrat-e-did mein pathra ke bani sang-e-dar
na haTi phir tere dar par jo aDi meri aankh
raat bhar ashk ke danon pe gina karti hai
furqat-e-yar mein ek ek ghaDi meri aankh
dil ke TukDe meri palkon mein jo dekha to kaha
jaanti thi inhen phulon ki chhaDi meri aankh
rakh liye pesh-e-hubab-e-lab-e-ju munh par hath
nazar aai unhen dariya mein paDi meri aankh
dauD kar mujh se gale mil gae milte hi nazar
dil ki taqdir laDi ya ki laDi meri aankh
ai shab-e-wasl na malum ye kya kar gai tu
band hoti nahin ab koi ghaDi meri aankh
kahte hain aankh laDate hi tu patthar ban jae
hai tera dil to bahut narm kaDi meri aankh
yaad-e-KHal-e-ruKH-e-jaanan ki madad se naseh
shab furqat ke sitaron se laDi meri aankh
ho gai fart-e-nazakat se haya ki shohrat
aa gaya un ko pasina jo laDi meri aankh
hai jo ashkon mein udahaT to na ghabra ai dil
roi hai dekh ke missi ki dhaDi meri aankh
Ghazal
Na Dare barq se dil ki hai kaDi meri aankh
Taashshuq Lakhnavi