اردو हिंदी
Na dahr mein na haram mein jabin jhuki hogi | Shaahi Shayari
na dahr mein na haram mein jabin jhuki hogi

Ghazal

Na dahr mein na haram mein jabin jhuki hogi

Fana bulandshahri

;

na dahr mein na haram mein jabin jhuki hogi
tumhaare dar pe ada meri bandagi hogi

nigah-e-yar meri samt phir uThi hogi
sambhal sakunga na main aisi ye be-KHudi hogi

nigah pher ke ja to raha hai tu lekin
tere baghair basar kaise zindagi hogi

kisi tarah bhi piyen hum gharaz hai pine se
nahin hai jam to aankhon se mai-kashi hogi

tamam hosh ki duniya nisar hai us par
teri gali mein jise nind aa gai hogi

guzar hi jaega duniya se be-talab ho kar
tere KHayal se jis dil ko dosti hogi

jamal-e-yar pe yun jaan nisar karta hun
fana ke baad 'fana' ghar mein raushni hogi