na chhin le kahin tanhai Dar sa rahta hai
mere makan mein wo diwar-o-dar sa rahta hai
kabhi kabhi to ubharti hai chiKH si koi
kahin kahin mere andar khanDar sa rahta hai
wo aasman ho ki parchhain ho ki tera KHayal
koi to hai jo mera ham-safar sa rahta hai
main joD joD ke jis ko zamana karta hun
wo mujh mein TuTa hua lamha bhar sa rahta hai
zara sa nikle to ye shahr ulaT palaT jae
wo apne ghar mein bahut be-zarar sa rahta hai
bula raha tha wo dariya ke par se ek din
jabhi se panw mein mere bhanwar sa rahta hai
na jaane kaisi girani uThae phirta hun
na jaane kya mere kandhe pe sar sa rahta hai
chalo 'salim' zara kuchh ilaj-e-jaan kar len
yahin kahin pe koi chaara-gar sa rahta hai

Ghazal
Na chhin le kahin tanhai Dar sa rahta hai
Salim Saleem