na buton ke na ab KHuda ke rahe
hum kahin ke na dil laga ke rahe
fitne kya kya na wo uTha ke rahe
hum bhi kuche mein un ke ja ke rahe
kar gai wo nigah apna kaam
hum bharose pe ittiqa ke rahe
nam mera jahan likha paya
zid to dekho ki wo miTa ke rahe
us ne har-chand uzr-e-KHwab kiya
haal-e-dil hum magar suna ke rahe
le uDa un ko shauq ghair ke ghar
hum tajassus mein naqsh-e-pa ke rahe
apni hasti hai is tarah 'raunaq'
jaise koi sara mein aa ke rahe
Ghazal
Na buton ke na ab KHuda ke rahe
Raunaq Tonkvi