اردو हिंदी
Na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain | Shaahi Shayari
na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain

Ghazal

Na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain

Qayem Chandpuri

;

na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hain
qalandar hain jo pesh aa jae sab kuchh did karte hain

kahan ka gharra-e-shawwal kaisa ashra zi-hijja
hamein hath aae mai jis din hum us din id karte hain

mizaj-e-KHas hai ahl-e-ishq ka jalne ke aalam mein
jalata hai jo in ko us ki ye taid karte hain

irada to na tha apna bhi jaane ka tere ghar se
pa kya kije ki baKHt-e-wazhgun takid karte hain

ye kasa sar tale rakkhe jo mai-KHanon mein sote hain
jise chahen use ek jam mein jamshed karte hain

jinhen kuchh silsile mein ishq ke tahqiq hasil hai
wo kab majnun se har gumrah ki taqlid karte hain

na jaane kahiye kis qalib mein 'qaem' dard-e-dil us se
nahin banti zaban se dil mein jo tamhid karte hain