اردو हिंदी
Na betabi na aashufta-sari hai | Shaahi Shayari
na betabi na aashufta-sari hai

Ghazal

Na betabi na aashufta-sari hai

Habeeb Ahmad Siddiqui

;

na betabi na aashufta-sari hai
hamari zindagi kya zindagi hai

fareb-e-arzu khaen to kyun kar
taghaful hai na begana-washi hai

farogh-e-ishq hai mahrumiyon se
wafa-keshi ba-qadr-e-na-rasi hai

mere qasr-e-tamanna ki nigahban
nigah-e-naz ki beganagi hai

mohabbat ke siwa jada na manzil
mohabbat ke siwa sab gumrahi hai

mohabbat mein shikayat kya gila kya
mohabbat bandagi hai bandagi hai

KHuda bar-haq magar is ko karen kya
buton mein sad-fusun-e-dilbari hai

mujhe nafrat nahin jannat se lekin
gunahon mein ajab ek dilkashi hai

na do hur-o-mai-o-kausar ke tane
ki zahid bhi to aaKHir aadmi hai