na bastiyon ko aziz rakkhen na hum bayaban se lau lagaen
mile jo aawargi ki fursat to sari duniya mein KHak uDaen
ho ek gulshan KHizan-rasida to kaam aae lahu hamara
tamam aalam mein tirgi hai kahan kahan mishalen jalaen
agarche ye dil-fareb rasta bhi KHar-zaron ki anjuman hai
magar mera ji ye chahta hai ki aable KHud hi phuT jaen
jahan ki ranginiyon ki hamraaz aankh patthar bani hui hai
ye haal ab ho gaya hai dil ka na ro saken hum na muskuraen
ye dasht be-rah-rawon ki basti ye shahr zindaniyon ka maskan
agarche KHalwat-nashin nahin hum magar kahan anjuman sajaen
shagufta kaliyon ki dil ki dhaDkan udas lamhon mein so gai hai
sukut wo chha gaya ki har-su bahaar karti hai saen saen
agarche 'shahzad' wo nigahen bhi ek muddat se muntazir hain
magar jo KHud se chhupa rahe hain wo zaKHm unhen kis tarah dikhaen
Ghazal
Na bastiyon ko aziz rakkhen na hum bayaban se lau lagaen
Shahzad Ahmad