اردو हिंदी
Na barq na shoala ne sharar hun | Shaahi Shayari
na barq na shoala ne sharar hun

Ghazal

Na barq na shoala ne sharar hun

Meer Asar

;

na barq na shoala ne sharar hun
jo kahiye so qissa muKHtasar hun

jun aks mera kahan Thikana
tere jalwe se jalwa-gar hun

ai naqsh-e-qadam rah-e-fana mein
main tujh se Tuk ek peshtar hun

ye KHair hai KHair-e-mahz hai to
banda ganda jo main bashar hun

malum hui na kuchh haqiqat
main kya hun kaun hun kidhar hun

ai umr-e-ba-baad-e-rafta le chal
main bhi tere hi ham-safar hun

jun shoala miyan-e-be-qarari
qaem apne qarar par hun

hun nala-e-na-rasa wa-lekin
apne haq mein to kargar hun

aate hain nazar sabhi hunar-mand
main hi ek saf be-hunar hun

hun tir-e-bala ka main nishana
shamshir-e-jafa ka main sipar hun

lena meri KHair-KHabar to KHair dila
ghafil hun nipaT hi be-KHabar hun

bhule bhi kabhu na yaad karna
bar-e-KHatir main is qadar hun

hun laghw main aap apni zaton
auron ka nafa ne zarar hun

tere daman se lag raha hun
apni tar-damani se tar hun

dard ki zat-e-pak ka hai
go ain nahin wale 'asar' hun