na badalna tha na badla dil-e-shaida apna
rang har waqt badalti rahi duniya apna
surat-e-atish-e-KHamosh jala karta hun
dekhta hun shab-e-gham aap tamasha apna
zaKHm ne dad na di dard ne fariyaad na ki
rah gaya tham ke qatil bhi kaleja apna
husn hai dad-e-KHuda ishq hai imdad-e-KHuda
ghair ka daKHl nahin baKHt hai apna apna
wo sunen ya na sunen nala-o-fariyaad 'aziz'
aap hargiz na karen tark taqaza apna
Ghazal
Na badalna tha na badla dil-e-shaida apna
Aziz Hyderabadi