na baaten kin na taskin di na pahlu mein zara Thahre
jo tum aae to kya aae jo tum Thahre to kya Thahre
kis ka rang-e-ulfat kya jame wan ye bhi mushkil hai
ki un ke dast o pa mein ek dam rang-e-hina Thahre
dil-e-muztar ba-shakl-e-barq dam lene nahin deta
mujhe aaram aa jae jo pahlu mein zara Thahre
wafadari hui be-kar marna khel aa Thahra
KHuda jaane ki ab kya rang-e-ain-e-wafa Thahre
dimagh aisa hi kuchh nazuk jalen aaise hi kuchh bad-go
kahun ek harf-e-matlab aur wan ek majra Thahre
chaman mein aag si pairahan-e-gul se bhaDak uTThi
fughan se ek dam to bulbul-e-atish-nawa Thahre
agar jaana hi Thahra hai to achchha dil bhi le jao
kisi pahlu kisi surat to jaan-e-mubtela Thahre
kabhi shad hi kabhi gham hai kabhi kuchh aur aalam hai
dil ek mehman-sara hai is mein 'raunaq' koi aa Thahre
Ghazal
Na baaten kin na taskin di na pahlu mein zara Thahre
Raunaq Tonkvi