اردو हिंदी
Na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz | Shaahi Shayari
na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz

Ghazal

Na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz

Meer Hasan

;

na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz
hai bhi jo kuchh gharaz to hamein yar se gharaz

phirte hain hum to did ko tere hi dar pe kuchh
raste se hai na kaam na bazar se gharaz

kahne se kya kisi ke koi kuchh kaha kare
hum ko to ek us ki hai guftar se gharaz

ji in dinon mein aap se bhi hai KHafa wa-lek
bezar jo nahin hai to dildar se gharaz

phir phir ke aaj puchhte ho dil ka haal kyun
hai KHair tum ko kya dil-e-bimar se gharaz

aane ka wada kar ki na kar hum ko ab tere
iqrar se na kaam na inkar se gharaz

hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin
tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz

sar-rishta jis ke hath laga ishq ka use
tasbih se na shauq na zunnar se gharaz

din-dar jo rakhe na 'hasan' mujh se kaam to
kafir hun main bhi rakhkhun jo din-dar se gharaz