اردو हिंदी
Na ai dil surat-e-shaiKH-e-haram diwana ban jaana | Shaahi Shayari
na ai dil surat-e-shaiKH-e-haram diwana ban jaana

Ghazal

Na ai dil surat-e-shaiKH-e-haram diwana ban jaana

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

;

na ai dil surat-e-shaiKH-e-haram diwana ban jaana
kahin aana na jaana zaer-e-but-KHana ban jaana

tumhaari dida-e-maKHmur ko ye KHub aata hai
kabhi shisha kabhi saghar kabhi paimana ban jaana

ajab aalam hai mad-hosh ka teri josh-e-masti mein
kabhi diwana ban jaana kabhi mastana ban jaana

dil-e-sozan dikhana jalwa husn-o-ishq donon ka
kahin sham-e-shabistan aur kahin parwana ban jaana

ye thi talqin-e-saqi waqt-e-ruKHsat apni maston ko
kahin diwana ban jaana kahin farzana ban jaana

usi mein kuchh mafar apna nazar aaya hasinon ko
ki ja kar der mein chupke but-e-but-KHana ban jaana

karishme hain ye sare jalwa-e-husn-e-haqiqi ke
kahin aashiq kahin andaz-e-mashuqana ban jaana

nawa-e-raaz saz-e-ishq be-KHud kyun na kar Dale
ki har parde se aati hai sada diwana ban jaana

yahi ibrat-sara-e-dahr ka har rose naqsha hai
kahin kashana ho jaana kahin virana ban jaana

KHabar kis ko thi yun aalam mein ruswai meri hogi
ki unwan-e-mohabbat ko bhi tha afsana na ban jaana

ye aalam beKHudi-e-ishq ka ai 'shauq' kya kahiye
tasawwur mein kisi ke aap se begana ban jaana