na abr se tera saya na tu nikalta hai
ghubar-e-aina-e-abju nikalta hai
lahu ka rang jhalakta hai aansuon mein kahin
na KHak-e-dil se sharar-e-numu nikalta hai
is intishaar mein koi pata nahin chalta
jo gard baiThe to ek dasht-e-hu nikalta hai
chamak uThi hain khanDar ki shikasta diwaren
kidhar se qafila-e-rang-o-bu nikalta hai
na jaane kya hai ki jab bhi main us ko dekhta hun
to koi aur mere ru-ba-ru nikalta hai
liye-diye hue rakhta hai KHud ko wo lekin
jahan bhi ghaur se dekho rafu nikalta hai
juDa hai zat se us ki har ek sher us ka
jo patta shaKH se toDo lahu nikalta hai
na dhund chhaTti hai aankhon ke samne se kabhi
na dil se hausla-e-justuju nikalta hai
na chand ubharta hai diwar-e-shab se 'zeb' kahin
na sarw-e-gham se qad-e-arzu nikalta hai
Ghazal
Na abr se tera saya na tu nikalta hai
Zeb Ghauri