اردو हिंदी
Na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha | Shaahi Shayari
na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha

Ghazal

Na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

na aaya kar ke wada wasl ka iqrar tha kya tha
kisi ke bas mein tha majbur tha lachaar tha kya tha

bura ho bad-gumani ka wo nama ghair ka samjha
hamare hath mein to parcha-e-aKHbar tha kya tha

sada sunte hi goya murdani si chha gai mujh par
ye shor-e-sur tha ya wasl ka inkar tha kya tha

KHuda ka dost hai tamir-e-dil jo shaKHs karta ho
KHalilullah bhi kaba ka ek meamar tha kya tha

na aae tum na aao main ne kya kuchh minnaten ki thin
tumhin ne KHud kiya tha ahd ye iqrar tha kya tha

hawa mein jab uDa parda to ek bijli si kaundi thi
KHuda jaane tumhaara partaw-e-ruKHsar tha kya tha

mila tu hum se mahfil mein jo shab ko ghair kyun bigDa
tera hakim tha Theka-dar tha muKHtar tha kya tha

meri mayyat pe matam karte ho allah-re chaalaki
KHabar hai KHud tumhein muddat se main bimar tha kya tha

hazaron hasraten betab thin bahar nikalne ko
wo sote mein bhi 'parwin' fitna-e-bedar tha kya tha