اردو हिंदी
Na aaya hamein ishq karna na aaya | Shaahi Shayari
na aaya hamein ishq karna na aaya

Ghazal

Na aaya hamein ishq karna na aaya

Riyaz Khairabadi

;

na aaya hamein ishq karna na aaya
mere umr-bhar aur marna na aaya

ye dil ki taDap kya lahad ko hilati
tumhein qabr par panw dharna na aaya

namak-dan kiye tum ne go lakh KHali
namak tum ko zaKHmon mein bharna na aaya

yahi din the sau sau tarah tum sanwarte
jawani to aai sanwarna na aaya

dabaata tha kafir hasinon ka joban
mere dagh-e-dil ko ubharna na aaya

teri tegh kya kya nahai lahu mein
teri tarah lekin nikharna na aaya

suna kar wo kahte hain kis bhole-pan se
hamein wada kar ke mukarna na aaya

bane pankhuDi naqsh-e-pa kab lahad par
tujhe ai saba gul katarna na aaya

'riyaz' apni qismat ko ab kya kahun main
bigaDna to aaya sanwarna na aaya