na aati thi kahin dil mein nazar aag
magar phir bhi jali hai raat bhar aag
khula hai dil mein ek daghon ka gulshan
ugalta hai mera zaKHm-e-jigar aag
bulaya tha mujhe bazm-e-tarab mein
laga di dil mein kyun munh pher kar aag
dikhaya tur par musa ko jalwa
kahan ja kar bani hai rahbar aag
ye girya aur phir aah-e-sharar-bar
taraqqi par idhar pani udhar aag
wo mera dil jalana khel samjhe
karegi rafta rafta ye asar aag
shab-e-gham is qadar roya hai koi
ki DhunDe bhi nahin milti sahar aag
wo dil par hath rakh kar gae hain
ki ab jalne na pae raat bhar aag
zamane ko jalata hai wo zalim
na ban jaen kahin shams-o-qamar aag
ye kis ki sard-mehri ka asar tha
na dekhi tur par bhi jalwa-gar aag
karun kya aah-e-sozan hijr ki shab
farishton ke jala deti hai par aag
ye dushman ka makan apna hi ghar hai
laga den aap be-KHauf-o-KHatar aag
dil-e-sozan ye kah de chashm-e-tar se
KHuda ke waste ThanDi na kar aag
hasad ki aag mein jalta hai ab tak
barasti hai adu ki qabr par aag
wuzu ho jaenge zahid ke ThanDe
bujha degi kisi ki chashm-e-tar aag
dil-e-nadan ko hum samjha chuke the
mohabbat aag hai ai be-KHabar aag
suna mazmun jawab-e-KHat ka 'rasiKH'
uTha laya kahin se nama-bar aag

Ghazal
Na aati thi kahin dil mein nazar aag
Mohammad Yusuf Rasikh