اردو हिंदी
Na aate hamein isMein takrar kya thi | Shaahi Shayari
na aate hamein isMein takrar kya thi

Ghazal

Na aate hamein isMein takrar kya thi

Allama Iqbal

;

na aate hamein is mein takrar kya thi
magar wada karte hue aar kya thi

tumhaare payami ne sab raaz khola
KHata is mein bande ki sarkar kya thi

bhari bazm mein apne aashiq ko taDa
teri aankh masti mein hoshyar kya thi

tammul to tha un ko aane mein qasid
magar ye bata tarz-e-inkar kya thi

khinche KHud-baKHud jaanib-e-tur musa
kashish teri ai shauq-e-didar kya thi

kahin zikr rahta hai 'iqbaal' tera
fusun tha koi teri guftar kya thi